top of page
Search
Writer's pictureGurdit

Teri Tasveerein

Zamaana ab chitthiyon wala hai nahi,

Na hi tune koi chitthi mujhe likhi hai,

Na tune teri tasveer mujhe bheji,

Par teri tasveer maine khud kheenchi hai.


Zamaana ab jung ka hai nahi,

Na hi humne koi jung karni hai,

Ha, teri tasveer phir bhi meri,

Jeb mein rakhkar parvaton ki unchaiyaan chooni hai.


Zamaana ab baaton ka bhi hai nahi,

Na maine koi baat tujhse ki hai,

Par, fir bhi ankahi si baaton mein,

Teri tasveeron se maine itni kahaniyaan tujhese keh di hai.


Comments


words for the day

bottom of page