top of page
Search
Writer's pictureGurdit

Tab Kya Hua Hota?

Mujhe nahi pata tab kya hua hota,

Jab tu wahi hota,

Do gaz ki doori pe,

Saari duniya ki jagaaho mein se,

Phir se meri duniya ke darmiyaan,

Jaise tu koi dhumketu ho,

Aur firse tera pehra ho,

Iss akaash mein jaha ke rang,

Kaali si raat ki tarah hai ab.


Mujhe nahi pata tab kya hua hota,

Jab tu wahi hota,

Do gaz ki doori par,

Bas sirf ek hi kshan ke liye,

Phir se tabaahi machaate hue,

Bina kisi iraade ya bahaane ke,

Jaise tujhe kuch pata hi na ho,

Mera itni gehrayi mein hone ka,

Bilkul pehle ki tarah.


Mujhe nahi pata tab kya hua hota,

Jab tu wahi hota,

Do gaz ki doori par,

Aur palatne se teri nazar mujhpe padti,

Aur bahari duniya ki awaazein saari CHUP,

Sanaate mein bas apni saanse lete hue,

Dil ki dhadkan ek dusre ko sunai na de,

Toh kadam ek dusre ki taraf badhaate hue,

Aur gale lagaate hue.


Mujhe nahi pata tab kya hua hota,

Jab tu wahi hota,

Do gaz naap kar,

Lafz aur shikayatein samet kar,

Meri ore chalte hue,

Ya,

Do gaz badhaakar dhai karte hue,

Baatein aur rishte saare lete hue,

Door, bahut door jaate hue.


Mujhe nahi pata tab kya hua hota,

Jab tu wahin hota,

Do se ab dhai, teen, gaz door,

Par asal mein bahut hi jyaada paas,

Hamesha ke liye rooth jaane ke liye,

Bina ek mauka diye manane ka,

Saari shikayatein sirf teri hi hai kya?

Aur meri duniya mein hoke bhi,

Kisi aur bhrhamand mein hote hue.


Mujhe nahi pata tab kya hua hota.



Kommentare


words for the day

bottom of page