Search
Taane
- Gurdit
- May 19, 2024
- 1 min read
Maana ki mujhe teekha khaana pasand hai,
Par teri kadvi baatein mujhe hazam nahi hoti.
•
Maine yaha chakli pees kar,
Aata banakar,
Garam rotiyaan saiki hai tere liye,
Aur tujhe bhookh hi nahin hai.
•
Tu har dafe kehta hai bhookh nahi hai,
Kyu hogi jab tune bahar se pehle hi khana kha liya hai.

Comments