Mera Naam
Kal usne mera naam ek baar bhi nahi liya.
Poora ek ghanta aur pandhra minute late aane ke baad bhi,
Usne meri taraf ek baar bhi dekhkar yeh nahi jataya ki usse iss baat se koi fark pada ho.
Ya iss baat se ki mai piche mudkar wapas ja rahi thi,
Aur woh haath pakadkar rokne ke bajaaye,
Dusri ore badh raha tha.
Aur kal usne mera naam ek baar bhi nahi liya.
Na piche se pukaarne ke liye,
Na bahaana banaane ke liye,
Na manaane ke liye,
Na mera haal puchne ke liye,
Na mujhe behlaane ke liye.
Kal usne mera naam ek baar bhi nahi liya.
Poore solah din ke baad aane par bhi,
Usne meri taraf ek baar bhi dekhkar yeh nahi jataya ki usse iss baat ka koi fark pada ho.
Ya iss baat se ki maine usse yaad kiya,
Aur woh meri baat sunne ke bajaye,
Kisi aur se hi baat kar raha tha.
Aur kal usne mera naam ek baar bhi nahi liya.
Na mujhe apni koi baat bataane ke liye,
Na mujhe humari kisi yaad ko firse yaad dilane ke liye,
Na mujhe kuch puchne ke liye,
Na mujhe kahi le jaane ke liye.
Kal usne mera naam ek baar bhi nahi liya.
Comentarios