top of page
Search
Writer's pictureGurdit

Lag Ja Gale

Woh raat ke daayro mein jhoomte hai,

Rangeen gaano par beparwah,

Sunte hai taare bhi unhe,

Kehte hai, rehna tu,

Jaise tu hai, zara,

Apna sa,

Kitaabi lafzo ke sapno sa.

Kuch anokha sa,

Barsaat ki thandi hawa ke jharoko sa.

Hararat mein chaav sa,

Thand mein baaho ki garmahat sa.

Koi apna sa.

Fir jab yeh asmaa thehra hai aaj,

Iss pal ke intezaar mein arso baad,

Kyun itni khaamoshi hai dilo ki,

Kyun dhadkane ab sune nahi,

Ki ab lag bhi ja gale,

Ke yeh raat ruki hai humare liye,

Ki ab lag ja gale,

Ke rehna hai tujhe panaho mein.

Ki lag ja gale,

Fir yeh baat ho na ho,

Lag ja gale,

Shayad mulaakat ho na ho.

Inspired from the lovely song, Lag Ja Gale sung by Lata Mangeshkar and written by Raja Mehdi Ali Khan.

For a soul who admires it as much as I admire words and the magic of the universe. ❤️

Comments


words for the day

bottom of page