Search
Jayaz Toh Nahi
- Gurdit
- Jan 28, 2024
- 1 min read
Ab yeh jayaz toh nahi hai,
Par aksar,
Har naya shaks,
Na jaane kyu,
Tumhare mukaabale,
Kuch kam sa lagta hai.
Poore toh tum bhi nahi the,
Par ab woh kuch bedhang sa lagta hai.
Tareeke toh tumhare bhi galat the,
Par ab uska iraada kuch kharab sa lagta hai.
Thehre toh tum bhi nahi,
Par ab chod jaane ka mann mera khud hi karta hai.
Ab yeh jayaz toh nahi hai,
Par aksar,
Aajkal waqt kuch,
Na jaane kyu,
Pehle ke mukaabale
Adhoora sa lagta hai.

Comments