top of page
Search

Gulsitaan

Writer's picture: GurditGurdit

Zyada bada nahi hai,

Ek tukda hi hai dil ka,

Nakshe pe kahin hai,

Ek gulsitaan hi hai ghar ka.


Barf ka bichona ab nahi hai,

Kuch gul hi hai gulaab ke,

Tere aane ki raah taakhte,

Rehte hai kai raat se.


Woh pehle jaisi baatein nahi hai,

Sirf pehra hai chaukidaar ka,

Sarhad ki ore chaand, tu, aur,

Ek gulsitaan hi hai toh mera.


Ab gul ka waise mausam nahi hai,

Ek roz hi aa leke tu dil apna,

Baithenge yahin shaam dhalte dekh,

Tu gulsitaan jo hai ghar ka.

🌸

song recommendations: gulon mein rang bhare and aaoge jab tum ❤️



Comments


words for the day

bottom of page