Search
Fizool Mein Hi
- Gurdit
- Feb 19, 2023
- 1 min read
Itna kaise ulajh gaye,
Fizool ki hi toh baatein thi,
Laga nahi tha jo kaam aayengi,
Teri-meri aaj woh yaadein hai.
Itna kaise yaad aata hai,
Fizool ka hi toh masla tha,
Laga nahi tha jo karega udaas.
Tera-mera aaj woh kissa hai.
Itna kaise badh gaya,
Fizool ka hi toh iraada tha,
Laga nahi tha jo imtheaan,
Tera-mera aaj woh toota waada hai.

Comments