Dil Ki Pukaar
Jab koi baat dil ko itna pareshaan kare,
Ki tum apne kamre ki khidki se bahar kaale aakash mein dekh rahe ho,
Aur soch rahe ho,
Ki kya kahin koi hai jo iss kashmakash ko suljha sakta hai?
Ki kya koi hai jo itni tanhai mein gale laga sakta hai,
Ki kya koi hai jo yeh jawab de sakta hai ki yeh sab kyu ho raha hai?
Toh shayad koi na koi sunn leta hai.
Kyunki kal mai bhi apne kamre ki khidki mein khadi hokar,
Kaale aakash se yahi kuch sawaal puch rahi thi,
Aur subah hote hi sawaal toh yaad nahi rahe,
Par dil mein ajeeb si halchal ab bhi thi,
Fir kuch aisa hua ki har jagah bas mere sawaalo ke jawaab dikh rahe the,
Aur woh tab tak dikhte rahe,
Jab tak maine neele aakash se yeh na keh diya ki ab baat thodi si samjh mein aa gayi hai,
Ki jo hua tha uske kahin na kahin toh meri hi bhalayi hai,
Ki akelapan jo hai abhi filhaal darbadar,
Woh bas ek choti si salah hi hai,
Ki ab aage sab theek sa ho jayega,
Aane wala kal bahut jald zaroor aayega,
Aur beete hue kal ne jo sikhaya hai,
Uska kirdaar bhi ek kaaran se jeevan mein aaya hai,
Fir jaana toh usse tha hi,
Dil lagaana toh tumhe tha hi,
Toh fir ab itna pareshan hona kyu hai,
Sab sawaalo ke jawaab mil jayenge,
Bas ek baar dil se pukaarna hi toh hai.
Comments