top of page

Ajeeb Din

Kuch din ajeeb se hi hote hai,

Pichli raat se hi apne aane ka andaza de dete hai,

Aur jab aate hai,

Tab bistar se nikalne ka mann nahin karta,

Aisa lagta hai,

Bas wahin koi samet kar rakh le,

Bachake, chupaake, churaake,

Iss duniya ki nazro se,

Jo nazar laga hi deti hai,

Fir kya,

Din beet jaata hai,

Raat aa jaati hai,

Kabhi din ki thakhaan halki si lagti hai,

Toh kabhi woh dard badha jaati hai,

Kuch din ajeeb se hi hote hai,

Jaise ki aaj ka yeh din.


Comments


words for the day

bottom of page