Search
Aayi Hai Woh
Aayi hai woh,
Suit naya sa pehnke,
Itni bheed-bhaad ki duniya mein,
Ek sukoon ki lehar banke.
Dekhte hi usse,
Mere din ki thakaan udd si gayi,
Ruka reh gaya mai,
Woh aake apni saari baatein mujhse kehti gayi.
Churakar nazrein dekha usse,
Bahaane banakar usko sawal puchta raha,
Jawab jiske pata the,
Phir bhi koi na koi baat karta raha.
Kyunki aayi hai woh,
Suit naya sa pehnke,
Itni bheed-bhaad ki duniya se,
Mere jeene ki wajah banke.
コメント